Barson k baad daikha shakhs " Dil ruba sa"
Ab zehan main nahi hai par naam tha bhala sa
abro khichay khichay say aankhain jhuki jhuki see
Baatain rukee rukee see lehja thaka thaka sa
Alfaz thay k jugno awa k safar main
Ban jai junglon main jis tarah rasta
Khuwaboon main khuwab us k yaadon main yaad us ki
Neendoon main ghul gaya ho jaisay k ratjaga saa
Pehlay bhi log aaee kitnay hi zindagi main
Wo her tarah say laikin oron say tha juda sa
Aglee muhabbaton nay wo namuradiyaan deen
Taza rafaqaton say dil tha dara dara saa